Uco Bank Education Loan Apply Kaise Kare? | Uco Bank Education Loan Kaise Le? | Uco Education Loan

Namaskar dosto,

Kaise ho aap log sabhi i hope acche honge aur swaasth honge toh aaj ke article mein aapko batane waali hu education loan ke baare mein ki education loan kya hai aur logo ko iski jarurat kyu padti hai jaise ki aap sabhi yeh baat acche se jaante honge ki hum sabke liye padhai kitni aur kyu important hai na sirf ye sirf hamare liye ek paise kamane ka sadhan hai balki isliye bhi taki hum literate ho sake aur sabhi information ko acche se samjh sake..

Toh baat karte education ki toh sabhi log chahte ki unki padhai poori ho paye jiske liye wo ya unke parents din raat mehnat karte hai aur keyi parents itne capable nhi hote hai ki wo baccho par zayada paise laga paye kyuki unki itni earning hii nhi hai jisse ki wo apne khrocho aur baccho ki padhai dono ko handle ek saath kar paye isliye aap apne bachcho ki padhai ke liye UCO Bank se education loan le sakte hai.

UCO Bank Education Loan kya Hai?

Wo loan jo ki aapko apni studies ko poore ke liye UCO Bank help karti hai loan dekar education ke liye taki aap apni study ko poora kar sake bina kisi stress ke kyuki aksar logo ko loan ke baare mein pata nahi hota ki aap logo ke liye jinhe apni study ko complete karna hai wo uco bank se education loan le sakte hai.

UCO Bank Education Loan Benefits?

1.Pahle toh isme jan aap loan lete hai toh interest rate acha khasha hota hai.

2.Dusara yeh ki aapko jitna bhi amount apni study poori karne ke liye chahiye hota hai utna amount aapko diya jata hai.

3.Yeh loan har ek vyakti jisko padhai apni poori karni ho wo UCO Bank se education loan le sakta hai.

4.Isme aapko loan ko return karne ka samay bhi thik thak mil jata hai.

5. Yeh loan har ek person koi literate banne mein sahyog deta hai.

UCO Bank Education Loan Amount?

Baat kare ki UCO Bank Education Loan ki aapko study ko poora karne ke liye kitne amount provide kiye jate hai toh yeh aapko 7.5 lakh tak ka amount dete hai.

UCO Bank Education Loan Interest rate?

Iska jo ki main aapko bta doo ki interest rate kitna hoga jo ki aapko bank ko dena hota hai wo hai 9.55%-10.05%.

UCO Bank Education Loan Tenure Duration?

UCO Bank se jab aap education loan lete hai bank toh uske return karne ka samay jitna aapko milta hai wo hai 15 years tak ka duration time.

UCO Bank Education Loan Processing fee?

Agar aap log 4 lakh se zayada loan lete hai tab aap par yaani processing fee Dene ki need hoti hai aur 7.5 lakh mein aapko processing fee deni padh sakti hai.

UCO Bank Education Loan Eligibility?

Isme aapki eligibility kon konsi honi chahiye toh yeh…

1.pahle toh isme aapki age minimum 18 honi chahiye.

2.Aur maximum should be 35 years ho.

3.Iss loan ke liye wahi vyakti apply kar sakta hai jo indian residence ho.

4.student ka admission secured ho to a higher education course in recognised institution, indian or abroad, through entrance tests.

5.Confirmed admission in the college before disbursement.

UCO Bank Education Loan Documentation?

Iss loan lene ke liye aapke pass kon konse documents hone chahiye…

1.pahle toh aapke paas aapki age kitni hai uske liye age proof chahiye hoga.

2.Aur passport size photograph hona mandatory hai.

3.Isi ke saath hii aapke marksheet lgegi iss loan lene ke liye.

4.Bank ke statement ke liye uski passbook chahiye hogi.

5.Address proof hona zaruri hai jisse aapke loan ko approval kiya ja sake.

6.I’d proof bhi aapke pass hona zaruri hai.

7.Education course details saath hi yeh bhi ho aapke pass.

8.Students aur guardian ka pan card aur aadhar card lgega documents ko poora karne ke liye.

Visit : https://www.ucobank.com/English/education-loans.aspx

UCO Bank Education Loan kaise Le?/UCO Bank Education Loan kaise Apply kare?

Online method:-

Pahle aapko visit karna hai bank ke official website pe.

Fir aapko loan section par jana hai.

Then click karna hai education loan ke menu bar pe.

Aur aapko uspe jaakr form ka page show hoga.

Then aapne details ko acche se fill karna hai

Fir aapka education loan successful submit hoga.

Offline method:-

Pahle aapko iske nearest branch mein visit karna hai.

Then waha jaakr waha ke employee se form borrow karna hai.

Fir aapko usme jinti bhi details di hai usko acche se fill karna hai.

Aur aapko jo bhi documents bole hai dene ke liye usko form ke saath attached karna hai.

Aur aapko passport size photo aur apne authentic signature ke saath submit kar dena hai.

Fir aapka form successful submit mana jayega.

Conclusion?

Toh aap log jinko education loan ke baare mein pata nahi tha ki aapko kaise aur kis prakar se aap log education loan ke apply kar sakte hai aur aapko isse kitne fayde milenge aur aap logo ke kaise kaam karega iske bare me humhe iss article ke madhyam se samjha hai.

I hope so ki aapko yeh article pasand aaya ho.

About Aashish Kummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x