ICICI Bank Home Loan Kaise Le? | ICICI Bank Home Loan Kaise Apply Kare? | ICICI Bank Housing Loan Apply 2022

Hello friends

Asha krti hu aap sbhi log acche honge aur aaj main aapko batane waali hoon icici bank se home loan kaise le wo bhi iss article ke throw baat kre home loan ki toh hrr vyakti ka sapna hota hai ki uske paas  khud ka ek  ghar ho lekin ek job krke khud ka ghar lena mushkil hai yaha baat paise ki aa jati hai ki wo paise kaha se laye yhi baat aaj hum iss article ke throw hii krenge ki  kis tarike se home loan liya jaye wo bhi km amount par

ICICI Bank Home Loan Kya Hai?

Ghar lena hrr kisi ka ek sapna hai jo ki aaj date mai bahut jaruri bhi hai baat yaha paise ki aa jati hai  jo ki icici bank home loan isse unn logo ke liye sarl hai jo sach main chahte hai unke pass khud ka ghar ho aur apne sapne ko poora krna chahte hai unke liye icici bank jo hai home loan provide krwata hai.

ICICI Bank Home Loan Benefits?

1. Low interest rate
2. Tex benefits
3. Long tenure time to repayment
4. minimum documentation
5. High amount of loan

ICICI Bank Home Loan Amount?

Ab hum baat karte hai ki icici bank ke home loan amount ki iska loan amount 5 crore rupees tak ka aapko maximum loan amount aapko icici bank as a home loan provide karwati hai..

ICICI Bank Home Loan Interest Rate?

ICICI Bank home loan interest rate yeh hai 8.10%-9.10% baki banko ke hisab se icici bank home loan km interest rate per loan logo ko deti hai.

ICICI Bank Home Loan Tenure?

Ab kre tenure pr baat toh icici bank jo home loan deti hai wo uss paise ko wapas krne ka samay 30 saal tk ka deti hai jisse logo ko time mil sake wo loan chukane ka.

ICICI Bank Home Loan Processing Fee?

Agar baat kare processing fee ki to jab aap log icici bank se home loan lete hai to shuruaati percentage ke according aapko takriban 0.50-2.00% ka loan amount aapko pay karna padta hai

ICICI Bank Home Loan Eligibility?

1. Jo bhi vyakti loan lega wo ek salaried ya self employed hona chahiye.
2. Uski age 21 saal se above ho.
3. Monthly salary 15000 ya usse zyada honi chahiye.

ICICI Bank Home Loan Documentation?

Proof of identity:-passport ,voter id, driving license,pan card.

Proof of address:-telephone bill, electricity bill, passport,bank statement, passbook.

Property documents:- ek copy honi chahiye original sale deed ki,noc from society, allotment possession letter etc.

ICICI Bank Home Loan Kaise Le / ICICI Bank Home Loan Kaise Apply Kare?

1.pahle toh aap online hii icici bank ki official site pr visit krke waha se aap log home loan ke application form ko paa skte hai ya aapke paas any option mein aap khud as a physical mode mein jaa sakte hai icici bank mein aur waha aap iss icici bank ke application form ko paa sakte hai..


2.uske baad aapko apne saath documents le jana hai aur application form ko aache se fill krna hai uspe di gyi information ko acche se fill krna hoga.

3.application form ko aur documents ko attach krna hai aur summit kr dena hai aur aapka loan application summit ho chuka hai fir wo aapka loan verified ho jayega.

Conclusion?

Aaj ke iss article maine aapko bataya ki kis tarike se hum icici bank se home loan ke skte hai aur khud ka apna ghar bna sakte wo bhi km loan pr ummid krti hu aaj ka mera ye article aapko pasand aaya hoga.

About AashishKummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x