State Bank Of India Education Loan Apply Online? | SBI Education Loan Kaise Le 2023?

Hello guys,

Kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh dosto aaj hum education loan ke baare me discuss karne wale hai aur jaanenge ki loan aap logo ke liye kitna important hai aur jisse har koi padhai kar sake aur aage hum inke baare mein jaanenge…

Aaj ke time mein logo ke pass education ke liye paise nahi hai ki wo apni padhai poori kar paye aur aksar log apni padhai bich mein hii chhod de dete hai aur khi na khi unki financial condition thik bhi nhi hoti aur iske unpe kai udhar bhi chalta hai ese mein wo parents apne baccho ko kaise padhaye aur padhaye bhi toh paise kaha se layenge ese mein aapki help state bank of India karti hai wo bhi kam interest rate par education ke liye loan de kar.

State Bank of India Education Loan kya Hai?

Yeh kewal aur kewal education ke liye diye jane wala loan hai jisse aapko kaafi madad milti hai aur aap apni padhai bich mein na chhode aur continue apni padhai par focus kar sake jiske liye state bank of india dwara aapko education loan ke through literate hone mein help karta hai.

State Bank of India Education Loan Benefits?

1.Isme aapko jo interest rate  kaafi affordable rate par milta hai.

2.Yeh aapko education ke liye protsahan deta hai.

3.Isme aapko repayment ka option bhi kaafi accha khasa diya jata hai.

4.students loan are a great way to build credit.

5.It will instill self -belief in them regarding their capacity to be self -sufficient.

State Bank of India Education Loan Amount?

State Bank of India Education Loan ke amount ko hum dekhe toh yeh aapko 8 lakh se 1.5 crore tak ka education loan provide karwate hai.

State Bank of India Education Loan Interest Rate?

Baat karte hai interest rate ki iske bare me hum jaan lete hai ki kitna interest jo hai aapko bank ko dena padta hai toh yeh hai 11.15% tak ka interest rate hai.

State Bank of India Education Loan Tenure Duration?

Aage hum education loan ko wapis karne ka time duration ki baat kar lete hai toh yeh aapko 15 years tak ka time diya jata hai State Bank of India Education Loan mein.

State Bank of India Education Loan Processing Fee?

Isme hum processing fee ko dekhe toh isme hai 10000+GST fee processing fee hai state bank of india education loan ki.

State Bank of India Education Loan Eligibility?

1.secured admission to recognised college/institution in India or abroad for various courses are eligible.

2.Aur aap saath hi indian hone chahiye.

3.Aapke pass degree aur diploma course jisse aapke admission liya ho wo hona chahiye.

4.Aapke pass aur aapke parents ke pass education loan related sabhi documents hone chahiye.

5.Iss loan ke liye koi maximum age limit nahi hai.

State Bank of India Education Loan Documentation?

Education loan lene ke liye aapke pass kon konse documents hone chahiye…

1.Marksheet of 10th- 12th aur graduation ki honi chahiye.

2.proof of admission to course offer letter, admission letter,id card hona zaruri hai.

3.Schedule of expenses for course ke proof aapke pass ho.

4.Kyc documents jiske bina loan approved nhi ho sakta.

5.guarantor form ke bina yeh loan milna muskil hai.

6.Copy of admission letter of the institution along with fees schedule jiske bina documents incomplete hoga.

7.Marksheet, passing certificate of S.S.C.,H.S.C., degree course yeh aapko loan dilwane mein help karega.

8.Bank statement, passbook of last 6 months ke hone chahiye.

Visit : https://sbi.co.in/web/personal-banking/loans/education-loans

State Bank of India Education Loan kaise Le?
State Bank of India Education Loan kaise Apply kare?

Online Method:-

Sabse pahle aapko SBI ke website pe jana padega.

Uske baad aapko education loan section par click karna hai.

Fir aap jis loan ke liye application karna chahte hai.

Aapko uss par click karna padega.

Then form open hoga waha aapko apna current details fill karna hai.

Saari details ko fill karne ke liye submit option par jaakr tab karna hoga.

Then aapka form successful submit hoga.

Offline Method:-

Yaha aapko SBI branch mein visit karna hai.

Then education loan ke liye bank jaakr waha se application form lena hai.

Usko acche se fill karna hai.

Then aapse jo bhi documents maange hai unhe wo dena hai.

Aur documents ko form ke saath attach karna hai.

Then aapko form ko bank mein submit karna hai.

Uske baad wo aapke form ko check karenge then application ko submit karenge.

Then aapka form successful submit mana jayega.

State Bank of India Customer Support?

18001234

Conclusion?

So,aaj aapne education loan ke baare me kaafi kuch jaana hoga iss article ke madhyam se aur samjha ki yeh loan kewal ek vyakti ke nhi balki sabhi logo ke liye hai jinko bhi zarurat hai ki wo apni padhai poori kar sake.

Asha hai yeh article mein aapko education loan poora samjh aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x