Punjab National Bank Business Loan Kaise Le – Punjab National Bank Loan Kaise Le? | PNB Business Loan

Namaskar yaaro,kaise hain aap sabhi log asha karti hoon thik honge toh dosto aaj ke iss article mein hum bussiness se related aur uske baare mein baat karenge ki aap log bussiness loan kaise le sakte hain aur yeh baat takriban sabhi logo ko pata hai ki aaj ki taarik mein agar aapko sirf apne life ko acche tarike se chalna hai toh ek business karne ka idea humhare liye bahut accha hoga aur benefit bhi.

Punjab National Bank Business Loan Kya Hai?

Waise toh hum sabko pata hai ki sabhi banks apni poori facilities and services logo ko provide krwati hai aur loan bhi deti hai lekin hum baat kare unse se ek bank Punjab National Bank ki jo logo ko kam interest rate per loan provide krwati hai.

Punjab National Bank Business Loan Benefits?

1.Business loan lene par yeh hota hai ki aapka loan jaldi processing mai aa jayega.
2.Aapko tenure time jo hai kaafi long tak mil jayega.
3.Aapko bahut hii affordable and attractive interest rate mil jata hai.
4.Aur isi ke sath hi aap log bussiness loan lene par aapka loan jaldi approved bhi ho jayega.

Punjab National Bank Business Loan Amount?

Ab baat karte hai Punjab National Bank business loan amount ki toh yeh logo ko deta hai Minimum 50,000 and maximum 15 lakh tak ka loan provide krwata hai.

Punjab National Bank Business Loan Interest Rate?

Agar aapko Punjab National Bank se business loan lenge toh aapko 8.15% se lekar ke 15% interest pay karna padega.

Punjab National Bank Business Loan Tenure?

Punjab National Bank se business loan lete hai toh aapko uska return karne ka time Maximum 7year tak ka mil jaata hai jise aap easily baad mai de paye.

Punjab National Bank Business Loan Eligibility?

Punjab National Bank se business loan lene ke liye aapki kya kya eligibility honi chahiye…

1.Toh is loan ki eligibility ke liye entrepreneur hona jaruri hai.
2.Or saath hi saath aapko 18 plus ka hona aniwariya hai.
3.Ismein no income ceiling hoti hai.
4.Aur aap agar ek individual hai tab bhi aap business loan ke sakte hai.
5.partnership and LLP with companies wale bhi iss business loan ko le sakte hai.

Punjab National Bank Business Loan Documentation?

Punjab National Bank se business loan lene ke liye aapke pass kya kya documents hone chahiye…

1.Aapke paas identity proof in short eKYC documents jaise ki Aadhar card, Voter ID card, passport, driving license and pan card hone chahiye.
2.Aur aapke paas address proof ke liye Ration card, telephone bill, electricity bill, passport,trade license and sales tax certificate.
3.Business license ka NOC aur local body license hona chahiye competent authority ka jo bhi aapka present mein business ho.
4.Business loan lene ke liye proof of continuation hona chahiye ITR ya fir trade license uski present validation aur sales tax certificate.
5.Aur bank ki minimum 6 month ki bank statement honi chahiye.
6.Or isi ke sath aapko kuch company ke identity ki zarurat hogi.

Punjab National Bank Business Loan Processing Fee?

Punjab National Bank ke processing fee jo ki bank ko dena hota hai toh mai bata do ki yeh hai 1.8%+ taxes with application tax ke saath.

Punjab National Bank Business Loan Repayment?

Toh ab hum yeh jaan lete ki jab aap log loan lete hai toh aapko loan ka utilisation karne ke baad usko aap repay kaise kar aur type se.

1.fednet (internet banking)
2.mobile banking
3.Debit card
4.NACh

Punjab National Bank Business Loan Kaise Le / Punjab National Bank Business Loan Kaise Apply Kare?

Offline method:-

Pahle toh aapka Punjab National Bank mein account hona chahiye.

Then aapko uske official site par visit karna hai.

Uske baad aapko menu bar par click karna hoga.

Fir loan ke section par click karna hai.

Uske baad aapko Punjab National Bank msme ya business loan par click karna hai.

Fir saari details ke niche jana hai waha par aapko application form par tap karna hai.

Then application form mil jane ke baad uska printout karwana hai.

Application form ke poore section ko fill acche se fill krna hai.

Aur ek passport size photo aur authentic signature karke with sabhi documents ko attached kar dena hai.

Fir application form ko Punjab National Bank ke branch par submit kar dena hai.

Then aapka business loan apply ho chuka hai.

Conclusion?

Toh dosto aaj humne business loan related baat kari ki kaise Punjab National Bank jo hai logo ko loan provide krwati hai taki business shuru kar paye.

Asha hai aaj ka mera yeh article aapko pasand aaya hoga.

Aashish Kummarr

About AashishKummarr

Check Also

Canara Bank Current Account Opening? | Canara Bank Current Account Open Kaise Kare?

Namaskar sathiyao, Kaise hai aap sabhi log ummid karti hoon badiya honge toh aaj ke …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x