Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Kaise Le? | Central Bank Of India PMMY Loan? | Central Bank MSME Loan

Toh kaise hai aap sabhi mai asha karti hoon ki acche honge toh dosto aaj ke article mein aapko  batane waali hoon Pradhan Mantri Mudra yojna loan kya hai aur konsi aur kis prakar ki yojna hai jaise ki aap sabhi yeh baat acche se pata hogi ki aaj ke date mein humhare paise kitna important hai aur jiske liye vyakti din raat laga rehta hai fir kuch ese log hai inko acchi salary nhi mil pati aur jaise ki yeh case hum aam tor par below middle class families mein zayada dekhne ko milti hai ..

Jo vyakti apne expenses ko poora nahi pata ya wo sochta hai business karne ke liye toh wo easily kar sakta hai aur mein yeh bata doo ki aaj ke date mein business karna kewal ek shok nahi balki logo ka dream ban chuka hai kuch business ke liye sabhi prakar ki planning aur saath mein ideas bhi rakh lete hai lekin isko execute nahi pate kyuki paise kaha se layenge..

Toh mein bata doo aapki problem ka solution hai hai ki aap government dwara nikali gyi schmes jo hai pradhan mantri Mudra yojna jo ki aapko business karne mein help karegi bhale hi wo chota ya bada business kyu na ho aage inhi sab ke baare mein hum deeply baat karne wale aur aapke doubt bhi clear ho jayenge…

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Toh upper humne baat kari loan ke baare toh ab hum dekhte hai pradhan mantri Mudra yojna kya hai toh mai aap sabhi ko bata doo ki pmmy government ki niakli gayi schmes hai waise toh har bank jo hai aapko loan de sakti hai aur proper facilities available karwati hai lekin unme se ek bank jo hai Central Bank of India hai jisse aap business karne ke loan aur yaha se lene par aapko bahut saare benefits honge jisse hum aage issi article mein dekhenge.

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojna ke kya Benefits Hai?

1. Ek toh yeh loan ek vyakti ya kuch particular log nhi le sakte balki har koi le sakta hai iska laabh.

2. Isme aapko baki banko ke mukable kam interest dena padta hai.

3.Aur tenure timing bhi kaafi accha khasa mil jata hai.

4.yaha par aapko baki banko ki tarah hii saari facilities aur service provide karwate hai balki zayada hii.

5.Aur jab aap loan lete hai toh yaha par aapko loan lene par jo interest rate milta hai wo aapke budget mein hota hai.

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Toh baat karte hai Central Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ke amount jo ki aapko jis kaam ke liye chahiye hota hai toh yeh 10 lakh tak ka amount aapko business startup ke liye diya jata hai.

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta hai?

Central Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest jo hai jisko aapko bank ko dena hota hai 8.05% aapko dena padega.

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Baat tenure timing ki jo Central Bank aapko loan wapis karne ka time kitna deta hai toh yeh hai 3-5 years tak hai jisme loan ko wapis karna padta hai.

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1.pahle toh aap indian hone chahiye.

2.Aap ne isse pahle jo bhi loan liya hai kisi bhi work ke liye usko time par return kr diya ho.

3.Aapki age minimum 18 year honi chahiye.

4.Aur maximum age 65 years tak honi chahiye.

5.loan lene wala vyakti kisi bhi business se juda hona chahiye.

6.Aur uska financial status kaafi strong ho.

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

Identification documents:-

Aadhar card jo ki loan lene ke liye important hai.

Passport jisse aapki pehchan kari ja sake.

Driving licence yeh bhi loan ka important part hai.

Voter id card yeh aapke pass hona zaruri hai

Residential address proof:-

Power bill jisse loan process poora ho sake.

Gas bill yeh bhi aapke pass hona chahiye.

Water bill isse Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ko poora kiya ja sake.

Key documents :-

Applicant ka pan card hona chahiye.

Aur 2 passport size photo honi chahiye.

Caste certificate if aapke pass ho toh.

Business documents:-

Certificate hone chahiye ( SSI ) Small Scale Industries ki.

Business licence hone chahiye from the competent authority.

Business documents for turn – over proof:-

Last three years ki Income tax return ho.

Aur last 12 months ki bank statement of current account ki.

Saath hii last three years ki profit,loss account ki balance sheet honi chahiye.

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?

18002021911/18002031911

Central Bank Of India Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare..

SHISHU YOJNA

Pahle toh aapko Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke apply ke apne nearest branch me visit karna hai.

Fir branch ke employee se loan ke baare mein information leni hai

Then aapko form de diya jayega usko acche se fill karna hai.

Uske baad jo bhi required documents hai usse form ke saath attached kar dena hai.

Then aapka form successful submit ho jayega.

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

Isme aapko shishu ke option pe na jakr tarun aur kishor yojna par jana hai.

Waha se application form borrow karna hai.

Then usme aapko apni details fill karni hai personal and professional.

Uske baad aapko application form ko aur apne documents ko attach karna hai.

Fir apne nearest branch me jakar submit kar dena hai.

Then aapka form successful process ho jayega.

Kya Central Bank Of India ka alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwati hai?

Iska jawab hai hann sabhi banks yaani zayada tar bank aapko pardhan mantri Mudra yojna Loan provide karwati hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

Nahi lekin Pradhan Mantri Mudra yojna Collateral free services mein aata hai.

Conclusion?

Toh guys humne baat kari hai ki aap log kis tarike se Pradhan Mantri Mudra yojna ka laabh le sakte hai jo ki ek government dwara nikali gyi schmes mein se ek hai jiske benefits, eligibility, documents par humne baat ki hai.

I hope so aapko ye article  informative laga ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x