Bank Of India Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Kaise Le? | BOI PMMY Loan? | BOI MSME Loan?

Namaskar dosto,

Kaise hai aap sabhi badiya so aaj ka topic hai pradhan mantri mudra yojna kya hai aur yeh aap logo ke liye kis tarike se kaam karti hai jisse hum aaj iss article ke madhyam se samjhenge aur jaanege ki aaj ke time mein logo business karna kewal dream nahi balki unki need ban chuki hai jiski har kisi ko zarurat hai aaj ke time mein specially…

Toh aaj kl log job krte hue bhi kuch nhi kr paate jese apno sapno ko pura krna ya apni needs ko pura krna jo log apna khud ka ek business kholna chahte hai vo bhi nhi kr paa rhe hai Aaj kl business krna hr koi chahta hai but pura hr koi nhi kr pata isske liye ek bahut hi sahi raasta hai jiske through aapko business ke liye loan mil jaaega wo hai Pradhan mantri mudra yojna schmes jiske dwara aapko loan dilwaya ja sakta hai kisi bhi business ko start karne ke liye.

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna yeh aap sabhi ke liye fayde mand schmes mein se ek hai jis se aap apna koi bhi business shuru kar sakte hai jiske liye aapko koi bhi security ke tor par deposit nahi karna padta as a bank rules.

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1.Isme aapko affordable tenure timing mil jati hai jisme aap loan ko return kar sake.

2.Bank aapko aacha khasha amount provide karwati hai business karne ke liye.

3.Jaise ki government dwara nikali gyi schmes hai toh isme aapko saari facilities available karwaye jate hai balki zayada hii.

4.yaha se loan lekar vyakti kisi bhi type ka business shuru kar sakta hai.

5.Iska laabh koi bhi vyakti utha sakta hai.

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Ab dekhte hai ki bank of india aapko kitna amount dilwati hai business karne ke liye toh mein aapko bata doo ki aapko yeh amount 10 lakh tak ka dikhwati hai.

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest jo ki MCLR+0.40% se MCLR+1.65% ke hoti hai.

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Yeh aapko jo ki loan wapis karne ke time jo diya jata hai wo hai 1-7 years tak ka hai jisme aapko loan liya hua wapis karna hota issi time limit mein.

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1. Pahle toh aap Bharat ke niwasi hone chahiye.

2.Isme aapki age minimum 18 year honi chahiye.

3.Aur maximum age 65 years honi chahiye.

4.Individuals engaged in agriculture activities like livestock, poultry and more.

5.Aapka koi criminal record na ho.

6.loan lene ke liye aapke pass sabhi documents hone chahiye.

7.Mudra loans ke liye non-farm enterprises engaged in trading, service and manufacturing sectors.

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

1.Kyc documents:-Passport , voter id card, driving license,pan card , adhar card yeh sabhi aapke paas hone chahiye.

2.Identity proof ke tor pe water bill, electricity bill yeh bhi hona mandatory hai.

3.Last 12 months ki bank statement hone chahiye.

4.Aur aapke pass last year ki ITR hone chahiye.

5.Aur saath hi passport size photograph hone chahiye.

6.Iske baad ST, SC,OBC category ke certificate if aapke pass ho toh.

7.Aur baki documents required by the bank or lender.

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna  Contact Helpline Number?

02267531100

Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare…

SHISHU YOJNA

Isme aapko iske mudra yojna mein offline pe nearest branch me visit karna hai.

Uske baad loan ke waha ke employee se baat karna hai.

Iske baad aapko form application form milega.

Then jo bhi required information maangi hai usse fill kar dena hai.

Sabhi information fill karke apne documents ke saath attached kar dena hai.

Uske baad sabhi chijo ko check karke apne nearest branch me submit kar dena hai.

Iss tarah aapka loan form process ho jayega.

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

Isme bhi aapko uske official website par jana hai.

Then waha ke employee se form borrow krke information lekar.

Uske baad form ko acche se fill karna hai aur apne documents ke saath attach karna hai.

Nearest branch me jakar submit kar dena hai.

Then loan process ho jayega.

Kya Bank of India ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate Hai?

Haan sabhi banks zayada tar bank aapko pardhan mantri mudra yojna provide karwate hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

Nahi sabhi loan toh nahi par Pradhan Mantri Mudra yojna Collateral free loan mein aata hai.

Conclusion?

Toh aapne iss article mein jaana ki aap bank of India se Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise le sakte hai aur uske liye kaise apply kar sakte hai iske poore segment ko humne iss article mein dekha aur jaana ki yeh msme schmes aapke liye kaafi accha schme hai.

Asha hai aapke doubt iss article ke madhyam se clear hue ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

Canara Bank Current Account Opening? | Canara Bank Current Account Open Kaise Kare?

Namaskar sathiyao, Kaise hai aap sabhi log ummid karti hoon badiya honge toh aaj ke …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x