Federal Bank Business Loan Kaise Le? – Federal Bank Business Loan Apply Kaise Kare? | Federal Bank Loan Kaise Le

Namaskar saathiyo kaise hai aap sabhi badiya ummid karti hoon aap sabhi acche honge toh baat kre aaj ke article ki toh aaj ke article mein hum business loan se related baat krenge ki hum business ko kaise start kre taki wo growth kar sake aur saath hi humhe ek baat dhyan mai rakhni hogi bussiness chahe chota ho ya bada uske liye jaruri hai investment jo ki loan ke through hii possible hai jisse federal bank provide krwata hai.

Federal Bank Business Loan Kya Hai?

Federal Bank business loan ye hum bussiness karne ke liye lete hai aur banko ke mukabale dekhe toh ye bank baki banko se kaafi zayada alag aur accha hai aur logo ko interest kam dena padta hai .

Federal Bank Business Loan Benefits?

1.Aapko unlimited ATM transaction milega jisse aap bina kisi pareshani aur limit ke paise ko nikal sakte hai.
2.jab aapko business karne ke liye amount ki jarurat padati hai toh aapko loan wo bank ke through mil jata hai.
3.isme tenure time jo hai wo bhi kaafi long tak mil jata hai taki aap aram se loan ko chuka sake.
4.Aur aapko bahut kam interest bank ko dena padta hai.

Federal Bank Business Loan Amount?

Ab dekhte hain federal Bank logo ko kitna loan provide krwati hai toh mai aap sabko bata doo ki ye logo ko Maximum 2 crore tak ka loan dilwati hai.

Federal Bank Business Loan Interest Rate?

Ab baat karte hain federal Bank business loan interest rate ki toh yeh 8.9% to 14% itna interest aap ko bank ko dena hota hai.

Federal Bank Business Loan Tenure?

Federal Bank logo ko unka loan chukane ka samay Maximum 120 months tk ka deti hai jisse log apna business start bhi kar le aur loan bhi time se chuka ske.

Federal Bank Business Loan Eligibility?

Jab bhi hum kisi bhi parakar ka business loan lene jaate hai to iske liye aapki eligibility kucch iss prakar honi chahiye..

1. Federal bank se business loan koi bhi vyaktigat, partnership ya koi bhi loan le sakta hai..

2. Federal Bank se business loan koi bhi   Self-employed professionals vyakti le sakta hai..

3.  Federal bank se aap sabhi tarike ke msme loan le sakte hai jiske liye aap eligibile honge ..

4.Private and Public Limited Companies, Sole Proprietorships, Partnership Firms, Limited Liability Partnerships (LLPs)

Federal Bank Business Loan Documentation?

Federal bank se bussiness loan lene ke liye aapke pass kon kon se documents hone chahiye..

Aapke paas pan card hona chahiye – Company/Firm/Individual
Aapke paas identity documentation hone chahiye jaise
Aadhaar Card
Passport
Voter’s ID Card
PAN Card
Driving License


Aapke paas residential proof hona chahiye


Aadhaar Card
Passport
Voter’s ID Card
Driving License Bank ki minimum 6 month ki bank statement honi chahiye..

Aapke business ka aapko per annum ke according itr file ki report Deni hogi jiske liye aap  (ITR/Trade license/Establishment/Sales Tax Certificate)
Aapke paas yah documents jo mandatory hai honi chahiye  – Sole Prop. Declaration Or Certified Copy of Partnership Deed, Certified true copy of Memorandum & Articles of Association (certified by Director) & Board resolution (Original)]

Federal Bank Business Loan Processing Fee?

Federal Bank business loan ka processing fee ke baare mein aapko bata doo toh yeh 3% hai jo ki aapko bank ko pay karna hota hai.

Federal Bank Business Loan Repayment?

To jab aap log iss business loan ko wapis dena chahenge to aap ise kaise aur kis method se denge..

1. Mobile banking
2. Branch visit karke aur paise account mein rakhke
3. Net banking
4. Debit card

 

Federal Bank Business Loan Kaise Le / Federal Bank Business Loan Kaise Apply Kare?

Offline Method :-

Sabse pahle aapke paas federal bank business loan ka application form hona chahiye.

Iske baad aapko business loan ke business related documents ko aapko attach kar dena hai.

Iske baad aapko application form ke sabhi section ko fill karna hai

Then aapko sabhi business related documents ko attached kar dena hai jisse aapka business verification complete ho sake..

Then aapko apni photo ko application form mei paste karna hai

Aur ek authentic signature karke aapko iss form ko submit kar dena hai..

Aapka business loan proper tarike se apply ho jaayega..

Conclusion?

Aaj maine iss article ke madhyam batane ki koshish ki hai ki aap federal Bank se kaise business loan ke sakte hai aur kaise apply kar sakte hai.

Ummed karti hoon aaj ka mera ye article aapko pasand aaya hoga.

Aashish Kummarr

About AashishKummarr

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x